Credits:
- Singer:Kumar Vishu
- Music Director: Mahesh Prabhakar
- Concept: Ashwani Panwar
- Video Concept by Paresh Shah (Bombay Paresh)
- Video Edit: Kreative Kings
- Music Label: Music Nova
Full Audio Song Available on
Lyrics:
Suvan Kehari Jevar Sutt Mahabali Randhir
Bandau Sutt Rani Bachala Vipat Nivaran Veer
Jai Jai Jai Chauhan Vansh Gugaveer Anup
Anangapal Ko Jeetkar Aap Bane Surr Bhup
Jai Jai Jai Jaahar Ranadhira Par Dukh Bhanjan Baagad Veera
Guru Gorakha Ka Hai Vardaani Jaaharveer Jodha Lasaani
Gauravaran Mukha Maha Vishala Mathe Mukut Ghunghrale Baala
Kandhe Dhanush Gale Tulsi Mala Kamar Kripaan Raksha Ko Daala
Janme Gugaaveer Jag Jaana Isvi Sann Hazaar Darmiyana
Bal Saagar Gunn Nidhi Kumara Dukhi Jano Ka Bana Sahaara
Baagad Pati Bachala Nandan Jevar Sutt Hari Bhakt Nikandan
Jevar Raav Ka Putra Kahaye Mata Pita Ke Naam Badhaye
Puran Hui Kaamna Saari Jisne Vinati Kari Tumhari
Saant Ubaare Asur Samhare Bhakt Jano Ke Kaaj Sanware
Gugaaveer Ki Ajab Kahani Jisko Byaahi Shriyaal Raani
Bachal Rani Jevar Raana Mahadukhi The Bin Santana
Bhangin Ne Jab Boli Maari Jeevan Ho Gaya Unko Bhaari
Sukha Baag Padaa Naulakha Dekh-Dekh Jag Ka Maan Dukha
Kuch Din Piche Sadhu Aaye Chela Cheli Sang Mein Laye
Jevar Raav Ne Kuaa Banwaya Uddghatan Jab Karna Chaha
Khari Nir Kue Se Nikala Raja Rani Ka Mann Pighala
Rani Tab Jyotishi Bulvaya Kaun Paap Main Putra Na Paaya
Koi Upaaye Humko Batlao Unn Kaha Gorakh Guru Manao
Guru Gorakh Jo Khush Ho Jayi Santaan Paana Mushkil Nayi
Bachal Rani Gorakh Gunn Gaave Nem Dharm Ko Na Bisrave
Kare Tapasya Din Aur Raati Ek Waqt Khaye Rukhi Chapati
Kartik Maas Mein Kare Snanna Vrat Ekadashi Nahi Bhulana
Puranmasi Vrat Nahi Chode Daan Punya Se Mukh Nahi Modhe
Chelon Ke Sang Gorakha Aaye Naulakhe Mein Tambu Tanvaye
Mitha Nir Kue Ka Kina Sukha Baag Hara Kar Dina
Meva Phal Sab Sadhu Khaye Apne Guru Ke Gunn Ko Gaye
Aughad Bhiksha Mangne Aaye Bachal Rani Ne Dukh Sunaye
Aughad Jaan Liyo Mann Maahi Taap Baal Se Kuch Mushkil Nahi
Rani Hove Maansa Puri Guru Sharan Hain Bahut Jaruri
Baaraha Baras Japa Guru Nama Tab Gorakh Ne Mann Mein Jaana
Putra Dena Ki Haami Bharli Puranmaasi Nischaya Kar Li
Kachal Kapatin Gajab Gujara Dhokha Guru Sang Kiya Karara
Bachal Banakar Putra Paya Bahen Ka Dard Jara Nahi Aaya
Aughad Guru Ka Bhed Bataya Jab Bachal Ne Gugal Paya
Kar Parsadi Diya Gugal Dana Ab Tum Putra Jano Mardana
Neeli Ghodi Aur Panditani Luna Dasi Ne Bhi Jani
Rani Gugal Baat Ke Khayi Sab Bhanjo Ko Mili Davai
Narsiha Pandit Neela Ghoda Bhaju Kotval Jana Ranadhira
Roop Vikat Dhar Sab Hi Darave Jaaharveer Ke Mann Ko Bhave
Bhado Krishna Jab Navmi Aayi Jevar Raav Ke Baji Badhayi
Vivah Hua Guga Bhaye Raana Sangal Deep Mein Bane Mehmana
Rani Shriyal Sang Pare Phere Jaahar Raaj Baagad Ka Kare
Arajan Sarjan Ka Chal Jane Gugaveer Se Rahe Woh Tane
Delhi Gaye Ladne Ke Kaaja Angapaal Chadhe Maharaja
Usne Gheri Baagad Sari Jaaharveer Na Himmat Haari
Arajan Sarjan Jaan Se Mare Anangapaal Ne Shastra Dare
Charan Pakadkar Pind Chudaya Singh Bhavan Madi Banvaya
Usime Gugaveer Samaye Gorakh Tila Dhuni Ramaye
Punyavan Sevak Wahan Aaye Tan Mann Dhaan Se Seva Laaye
Mansa Puri Unki Hoyi Gugaveer Ko Sumare Joyi
Chalis Din Padhe Jahar Chalisa Saare Kasht Hare Jagdisha
Dudh Putt Unhe De Vidhata Krupa Kare Guru Gorakhanatha
Krupa Kare Guru Gorakhanatha