Thursday, April 23, 2026
Thursday, April 23, 2026
HomePregnancy SongsShri Krishna Garbh Stuti with Lyrics

Shri Krishna Garbh Stuti with Lyrics

- Advertisment -

“श्री कृष्णा गर्भ स्तुति” एक धार्मिक स्तुति है जो भगवान श्रीकृष्ण की स्तुति गर्भावस्था में की गई थी। यह स्तुति भागवत पुराण (विशेषकर दशम स्कंध) में वर्णित है, और इसे देवकी जी ने उस समय किया था जब श्रीकृष्ण उनके गर्भ में अवतरित हो चुके थे।

यह स्तुति उस दिव्य क्षण का वर्णन करती है जब भगवान विष्णु स्वयं श्रीकृष्ण के रूप में पृथ्वी पर जन्म लेने के लिए गर्भ में आते हैं, और देवकी जी को उनके दिव्य रूप का साक्षात्कार होता है। तब वे भावविभोर होकर प्रभु की स्तुति करती हैं – यही “श्री कृष्णा गर्भ स्तुति” कहलाती है।

गर्भ स्तुति का महत्व:

  1. भक्ति भावना: यह स्तुति भक्तों को प्रभु के प्रति समर्पण, श्रद्धा और प्रेम का बोध कराती है।
  2. वेदों का सार: इसमें भगवान की लीला, स्वरूप और महिमा का वर्णन है, जो वेदों और उपनिषदों के सार के रूप में देखा जाता है।
  3. दिव्यता की अनुभूति: यह स्तुति बताती है कि ईश्वर सर्वत्र हैं और उनकी महिमा अनंत है—even गर्भ में भी वे अपने तेज से प्रकाशित होते हैं।

Shri Krishna Garbh Stuti Lyrics:

  • English
  • Hindi

Shri Krishna Garbh Stuti
Shri Krishna Ke Janma Se Purva
Devtao Ne Garbhastha Parmeshwar Ki
Stuti Ki Thi

Bramha Vaivarta Puran Tatha
Shrimad Bhagvat Puran Mein
Yah Stuti Alag Alag Varnit Hai
Aapke Liye Vo Dono

Durlabh Stotra Ke Arth
Yahan Par Prastut Hai
Ek Din Devatao Ne
Kans Ke Karagar Mein Aakar

Stuti Ki Thi
Jo Garbh Stuti Naam Se
Vikhyat Hai
Garbha Stuti

Devatao Dwara Ki Gai
Stuti Evam Prarthana Hai
Bhagvan Shri Krishna Ne
Maa Devaki Ke Garbh Mein

Pravesh Kiya
Tab Sabhi Devatagan
Wahan Aakar Stuti Karane Lage
Aur Uttam Aashirwad Dene Lage

Jab Koi Garbhavati Mata
Yah Stuti Karati Hai
Toh Garbhastha Shishu
Aanandit Ho Uthata Hai

Aur Uska Garbh Mein
Vikas Bhi Achchha Hone Lagata Hai
Vastav Mein Garbh Stuti
Vo Stuti Hai

Jisme Garbhavati Mata Ko
Kaise Gunvala Shishu Chahiye
Uska Varnan Stuti Evam
Prarthana Se Karna Chahiye

Uske Liye Shri Krishna Ki
Yah Garbhstuti Karna
Bahot Hi Labhdayi Hogi
Agar Garbhvati Mata

Ye Stuti Roj Sunati Hai
Aur Karti Hai
Toh Avashya Hi Use
Manchahi Santan Prapta Hoti Hai

Uske Jeevan Mein
Avashya Hi Shri Krishna Jaise
Gunovali Santan Aati Hai
Shreshtha Parmeshwar Jaisi Santatn Hetu

Devatao Ne Shri Krishna Ke Liye
Garbhstuti Ki Thi
Lekin Iss Prithvi Par
Iss Kaliyug Mein

Ek Maa Hi Shreshtha Santan Hetu
Garbhstuti Avashya Kar Sakati Hai
Bhgvan Shankar Aur Bramha Ji
Kans Ke Karagar Mein Aaye

Unke Saath Narad Aadi Rushi Bhi The
Ve Log Sumadhur Vachano Se
Sabki Abhilasha Purna Karanewale
Shri Hari Ki Iss Prakar

Stuti Karne Lage
Prabhu Aap Satya Sankalp Hain
Satya Hi Aapke Prapti Ka
Shreshtha Sadhan Hai

Srishti Ke Purva
Pralay Ke Pashchat
Aur Sansar Ki Sthiti Ke Samay
In Samast Avasthao Mein Bhi

Aap Hi Satya Hai
Prithvi Jal Tej Vayu Aur Aakash
In Paanch Drashyamaan Satyo Ke
Aap Hi Karan Hai

Aur Unme Antaryami Roop Se
Virajman Bhi Hai
Aap Iss Drashyman Jagat Ke
Parmartha Swaroop Hai

Aap Hi Madhur Vaani
Aur Samdarshan Ke Pravartak Hai
Bhagwan
Aap Bas Satya Swaroop Hi Hain

Hum Sab Aapke Sharan Mein Aaye Hain
Iss Sansarroopi Vriksha Ke
Uttpati Ke Aadhar
Ek Matra Aap Hi Hain

Aap Mein Hi Iska Pralay Hota Hain
Aur Aapke Hi Anugrha Se
Inki Raksha Bhi Hoti Hain
Jinka Chitt Aapke Maya Se

Aavrutt Ho Raha Hain
Iss Satya Ko Samajhne Ki Shakti
Kho Baitha Hai
Ve Hi Utpati Sthiti Aur Pralay Karnewale

Bramhadi Devatao Ko Anek Dekhte Hain
Tatva Gyani Purush
Toh Sabke Roop Mein Keval
Aap Ka Hi Darshan Karte Hain

Aap Gyan Swaroop Aatma Hain
Charachar Jagat Ke
Kalyan Ke Liye Hi
Aneko Roop Dharan Karte Hain

Aapke Ve Roop
Vishuddha Aprakrut Samnvay Hote Hain
Aur Sant Purusho Ko
Bahot Sukh Dete Hain

Saath Hi Dushto Ko
Unke Dushtata Ke Liye
Dand Bhi Dete Hain
Unke Liye Amangalmay Bhi

Aap Hi Hote Hain
Kamal Ke Samaan
Komal Anugrah Bhare
Netron Vale Prabhu

Kuchh Bilre Log Hi
Aapke Samasta Padartho
Aur Praniyon Ko
Aashray Swaroop Roop Mein

Purna Ekagrata Se
Apna Chitt Laga Pate Hain
Aur Aapke Charan Kamal Roopi
Jahaj Ka Ashray Lekar

Iss Sansar Sagar Ko
Bachhade Ki Khor Ke Gaddhe Ke Samaan
Anayas Hi Paar Kar Jate Hain
Aisa Kyon Na Ho

Ab Tak Santo Ne
Isi Jahaj Se
Sansar Sagar Ko Paar Jo Kiya Hain
Pramprakash Swaroop Parmatma

Aapke Bhaktjan
Sare Jagat Ke Nishkapat Premi
Sachche Hiteshi Hote Hain
Ve Svayam Ko Iss Bhayankar

Ghor Kasht Se Paar Karane Yogya
Sansar Sagar Ko
Paar Kar Hi Jate Hain
Kintu

Auro Ke Kalyan Ke Liye Bhi
Ve Wahan Aapke Charan Kamlo Ki
Nauka Sthapit Kar Jate Hain
Vastav Mein Sabhi Praniyon Par

Aapki Mahan Kripa Hoti Hain
Unke Liye Aap
Anugrah Swaroop Hi Hain
Hey Kamal Nayan

Hey Shri Krishna
Jo Log Aapke
Charan Kamalo Ki
Sharan Nahi Lete Hain

Tatha Aapke Prati
Bhakti Bhav Se Rahit Hone Ke Karan
Jinaki Buddhi Bhi Shuddha Nahi Hain
Ve Apne Ko Jhuth Muth Mukta Manate Hain

Vastav Mein Toh Wah Mrut Hi Hain
Ve Yadi Badi Tapasya
Aur Sadhana Ka Kashta Uthakar
Kisi Prakar Unche Se Unche Pad Par

Panhuch Bhi Jaye Toh Bhi
Wahan Se Niche Gir Jate Hain
Parantu Bhagavan
Jo Aapke Apne Nijjan Hain

Jinhone Aapke Charano Mein
Apni Sachchi Preeti Jod Rakhi Hain
Ve Kabhi Unn Gyanabhimaniyon Ke Bhati
Apne Sadhak Marg Se Girte Nahi Hain

Prabhu Ve Bade Bade Vighna
Dalanevalo Ki Sena Ke
Sardaro Ke Sir Par
Pair Rakhakar

Nidar Hokar Chalte Hain
Koi Bhi Vighna
Unke Marg Mein
Rukavat Nahi Daal Sakata

Kyonki Unke Rakshak Toh Aap Hi Hain
Aap Sansar Ke Sthiti Ke Liye
Samasta Dehdhariyon Ko
Paramkalyan Pradan Karnevala

Vishudhha Satyamay Sachichidanandmay
Paramdivya Mangalmay
Paramdivya Mangal
Vigrah Prakat Karte Hain

Uss Roop Ke Prakat Hone Se Hi
Aapke Bhakta
Ved Karmakand Ashtang Yog
Tapasya Aur Samadhi Ke Dwara

Aapki Aaradhana Karenge
Prabhu Aap Sabke Vidhata Hain
Yadi Aapka Yah Vishuddha Satvamay
Nij Swaroop Na Ho Toh

Agyan Aur Uske Dwara Honewale
Bhedbhav Ko Nasht Karnewala
Aproksh Gyan Bhi Kisiki Na Ho
Jagat Mein Dikhne Vale

Tino Roop Aapke Hi Hain
Aur Aapke Dwara Hi
Prakashit Hote Hain
Yah Satya Hain

Parantu Inn Guno Ki
Prakashit Vrutiyon Se
Aapke Swaroop Ka
Keval Anubhav Hi Hota Hain

Vastavik Swaroop Ka
Sakshatkar Nahin Hota
Bhagwan
Mann Aur Ved Vaani Ke Dwara

Keval Aapke Swaroop Ka
Anuman Matra Hota Hain
Kyoki Aap Unke Dwara
Drashya Nahi Hain

Unke Sakshi Hain
Isliye Aapke Gunn
Janma Aur Karma Aadi Ke Dwara
Aapke Naam Aur Roop Ka

Nirupan Nahin Kiya Ja Sakata
Phir Bhi Hey Prabhu
Aapke Bhaktajan
Upasana Aadi Kriya

Yoga Ke Dwara
Aapka Sakshatkar Toh Karte Hi Hain
Jo Koi Aapke
Mangalmay Namo Aur Roopo Ka

Shravan Kirtan Smaran
Aur Dhyan Karta Hain
Aur Aapke Charan Kamlo Ki
Seva Mein Hi Apna Chitt Lagaye Rakhta Hain

Usse Phir
Janma Mrityu Roop Sansar Ki Chakro Mein
Nahi Padana Padata Hai
Sampurna Dukho Ko

Harne Wale Bhagwan
Aap Sarveshwar Hain
Yah Prithvi Toh
Aapka Charan Kamal Hi Hain

Aapke Avtar Se
Iska Bhar Kam Ho Gaya Hai
Dhanya Hain Prabhu
Humare Liye

Yah Saubhagya Ki Baat Hain
Ke Hum Log Aapke
Sundar Sundar Chinho Se Yukta
Charankamlon Dwara Vibhushit

Prithvi Ko Dekhte
Aur Swarg Lok Ko Bhi
Aapki Kripa Se Kritarth Dekhenge
Prabhu Aap Ajanma Hain

Yadi Aapke Janm Ke Karan Ke Sambandh Mein
Hum Koi Tarka Na Kare
Toh Yahi Kah Sakte Hain Ki
Yah Aapka Vilila Vinod Hain

Aisa Kahane Ka Karan Yahi Hain Ki
Aap Dwait Ke Lesh Se Rahit
Sarvadhishthan Swroop Hain
Aur Iss Jagat Ki Utpati

Sthiti Tatha Pralay Agyan Ke Dwara Hi
Aap Mein Aalokit Hain
Hey Prabhu Jaise Aneko Baar
Matsya Hegri Takshak Rishi Varah

Hans Ram Parshuram Aur Waman Avatar
Dharan Karke Hum Logo Ki
Aur Tino Loko Ki Raksha Ki Hain
Waise Hi Aap

Iss Baar Bhi
Prithvi Ka Bhar Dharan Kijiye
Prabhu
Hey Yadunandan

Hum Aapke Charanon Mein
Vandana Karte Hain
Hum Devaki Ko Bhi
Vandan Karate Huye

Usse Bhi Sambodhit Karte Hain
Ki Hey Mata Ji
Bade Hi Saubhagya Ki Baat Hain
Ki Aapke Kokh Mein

Hum Sab Ka Kalyan Karne Vale
Swayam Bhagvan Purushottaam
Apane Gyan Bal Aadi Ansho Ke Saath Padhare Hain
Ab Aap Kans Se

Tanik Bhi Mat Dariye
Ab Toh Vah Kuchh Dino Ka Mehman Hain
Aapke Putra Yadunandan Hi Raksha Karenge
Hey Prabhu

Shri Krishna
Hume Bhi Aapke Jaise Divya Santan Pradan Kare
Ant Mein Itani Prarthana
Hum Avashya Karate Hain

Hey Yashodanandan
Aarti Vandan
Bas Sab Par Kripa Tumhari Hain
Hum Sabko Aapka Pyar Mile

Bas Vinati Yahi Humari Hain
Hey Narayan
Hey Madhusudan
Hey Arjun Sakha
Maha Vandan

Hum Sab Pe Daya Upkar Karo
Hum Par Vishwas Karo
Bas Vinati Yahi Hamari Hain
Tum Jagat Ke Naath

Tum Triloki
Tum Vishvracheta
Manmohi Ho
Shri Bramha Tumhari Stuti Kare

Bas Sab Par Kripa Tumhari Hain
Hey Updeshak
Hey Veer Abhimani
Hey Vasudev

Tum Kalyani
Tum Jagat Ke Lok Kalyan Karo
Bas Sab Par Kripa Tumhari Hain
He Lakshmipati

Hey Avinashi
Hey Madan Mohan
Brijvasi
Hum Sab Ko Aap Ki Hi Raah Mile

Bas Vinati Yahi Humari Hain
Hey Yashoda Nandan
Aap Hum Par Kripa Kare
Hume Divya Santan Prapti Ki

Bhet Pradan Kare
Dhanyawad

श्री कृष्ण गर्भ स्तुति
श्री कृष्ण के जन्म से पूर्व
देवताओ ने गर्भस्थ परमेश्वर की
स्तुति की थी

ब्रम्हा वैवर्त पुराण तथा
श्रीमद्भागवत पुराण में
याह स्तुति अलग अलग वर्नित है
आपके लिए वो दोनो

दुर्लभ स्तोत्र के अर्थ
यहाँ पर प्रस्तुत है
एक दिन देवताओ ने
कंस के करार में आकर

स्तुति की थी
जो गर्भ स्तुति नाम से
विख्यात है
गर्भ स्तुति

देवताओ द्वारे की गाय
स्तुति एवं प्रार्थना है
भगवान श्री कृष्ण ने
माँ देवकी के गर्भ में

प्रवेश किया
तब सभी देवतागण
वहां आकर स्तुति करने लगे
और उत्तम आशीर्वाद देने लगे

जब कोई गर्भावती माता
यह स्तुति कराती है
तो गर्भस्थ शिशु
आनंदित हो उठता है

और उसका गर्भ में
विकास भी अच्छा होने लगता है
वास्तव में गर्भ स्तुति
वो स्तुति है

जिसमें गर्भवती माता को
शिशु को गुणवता कैसे चाहिए
उसका वर्णन स्तुति एवं
प्रार्थना से करना चाहिए

उसके लिए श्री कृष्ण की
यः गर्भस्तुति कर्ण
बहुत ही लाभदायी होगी
अगर गर्भवती माता

ये स्तुति रोज सुनाती है
और करती है
तो अवश्य ही उपयोग करें
मनचाही संतान प्राप्त होती है

उसके जीवन में
अवश्य ही श्री कृष्ण जैसा
गुनोवाली संतान आती है
श्रेष्ठ परमेश्वर जैसी संततन हेतु

देवताओ ने श्री कृष्ण के लिए
गर्भस्तुति की थी
लेकिन इस पृथ्वी पर
इस कलियुग में

एक मां ही श्रेष्ठ संतान हेतु
गर्भस्तुति अवष्य कर सकती है
भगवान शंकर और ब्रम्हा जी
कंस के करार में आये

उनके साथ नारद आदि ऋषि भी थे
वे लोग सुमधुर वचनो से
सबकी अभिलाषा पूर्ण करनेवाले
श्री हरि की इस प्रकार

स्तुति करने लगे
प्रभु आप सत्य संकल्प हैं
सत्य ही आपकी प्राप्ति का
श्रेष्ठ साधन है

सृष्टि के पूर्वा
प्रलय के पश्चत
और संसार की स्थिति के समय
समस्त अवस्थाओं में भी

आप ही सत्य हैं
पृथ्वी जल तेज वायु और आकाश
पांच दृश्यमान सत्यो के
आप ही करण हैं

और उनमे अंतर्यामी रूप से
विराजमान भी है
आप इस दृश्यमन जगत के
परमार्थ स्वरूप है

आप ही मधुर वाणी
और समदर्शन के प्रवर्तक हैं
भगवान
आप बस सत्य स्वरूप ही हैं

हम सब आपके शरण में आये हैं
इस संसाररूपी वृक्ष के
उत्तपति के आधार
एक मात्रा आप ही हैं

आप में ही इसका प्रलय होता है
और आपके ही अनुग्रह से
इनकी रक्षा भी होती है
जिनका चित्त आपके माया से

आवृत हो रहा है
इस सत्य को समझने की शक्ति
खो बैठा है
वे ही उत्पति स्थिति और प्रलय करनेवाले

ब्रम्हादि देवताओ को अनेक देखते हैं
तत्व ज्ञानी पुरुष
तो सबके रूप में केवल
आप का ही दर्शन करते हैं

आप ज्ञान स्वरूप आत्मा हैं
चराचर जगत के
कल्याण के लिए ही
अनेको रूप धारण करते है

आपके वे रूप
विशुद्ध अप्राकृत समन्वय होते हैं
और संत पुरुषों को
बहुत सुख देते हैं

साथ ही दुश्मनों को
उनके दुष्टता के लिए
दंड भी देते हैं
उनके लिए अमंगलमय भी

आप ही होते हैं
कमाल के सामान
कोमल अनुग्रह भरे
नेट्रॉन वेले प्रभु

कुछ बिलरे लोग है
आपके समस्त पदारथो
और प्राणियों को
आश्रय स्वरूप रूप में

पूर्ण एकाग्रता से
अपना चित्त लगा पाते हैं
और आपके चरण कमल रूपी
जहाज का आश्रय लेकर

इस संसार सागर को
बछड़े की खोर के गधे के समान
अनायास ही पार कर जाते हैं
ऐसा क्यों ना हो

अब तक सैंटो ने
इसी जहाज से
संसार सागर को पार जो किया है
परमप्रकाश स्वरूप परमात्मा

आपके भक्तजन
सारे जगत के निष्कपट प्रेमी
सच्चे हितेशी होते हैं
वे स्वयं को इस भयंकर

घोर कष्ट से पार करने योग्य
संसार सागर को
पार कर ही जाते हैं
किंटू

ऑरो के कल्याण के लिए भी
वे वहां आपके चरण कमलो की
नौका स्थापित कर जाते है
वास्तव में सभी प्राणियों पर

आपकी महान कृपा होती हैं
उनके लिए आप
अनुग्रह स्वरूप ही हैं
हे कमल नयन

हे श्री कृष्ण!
जो लोग आपके
चरण कमलो की
शरण नहीं लेते हैं

तथा आपके प्रति
भक्ति भाव से रहित होन के करण
जिनकी बुद्धि भी शुद्ध नहीं है
वे अपने को झूठ मुठ मुक्ता मनाते हैं

वास्तव में तो वाह मृत ही हैं
वे यादि बड़ी तपस्या
और साधना का कष्ट उत्थान
किसी प्रकार ऊंचे से ऊंचे पद पर

पनहुच भी जाए तो भी
वहां से निचे गिर जाते है
परन्तु भगवान
जो आपके अपने बच्चे हैं

जिन्होने आपके चरणों में
अपनी सच्ची प्रीति जोड़ रखी हैं
वे कभी उन्न ज्ञानाभिमानियों के भाति
अपने साधक मार्ग से गिरते नहीं हैं

प्रभु वे बड़े बड़े विघ्न
डालनेवालों की सेना के
सरदारो के सर पर
जोड़ी राखाकर

निडर होकर चलते है
कोई भी विघ्ना
उनके मार्ग में
रुकावत नहीं दाल सकता

क्योंकि उनके रक्षक तो आप ही हैं
आप संसार की स्थिति के लिए
समस्त देहधारियों को
परमकल्याण प्रदान कर्णेवाला

विशुद्ध सत्यमय सच्चिदानंदमय
परमदिव्य मंगलमय
परमदिव्य मंगल
विग्रह प्रकट करते है

उस रूप के प्रकट होने से ही
आपके भक्त
वेद कर्मकांड अष्टांग योग
तपस्या और समाधि के द्वार

आपकी आराधना करेंगे
प्रभु आप सबके विधाता हैं
यदि आपका यः विशुद्ध सत्वमय
निज स्वरूप ना हो तो

अज्ञान और उसके द्वारा होनेवाला
भेदभाव को नष्ट करनेवाला
अप्रोकश ज्ञान भी किसीकी ना हो
जगत में दिखने वाले

टीनो रूप आपके ही हैं
और आपके द्वारे ही
प्रकाशित होते हैं
यह सत्य है

परन्तु इन गुणों की
प्रकाशित वृतियों से
आपके स्वरूप का
केवल अनुभव ही होता है

वास्तु स्वरूप का
साक्षरता नहीं होती
भगवान
मन और वेद वाणी के द्वार

केवल आपके स्वरूप का
अनुमान मात्रा होता है
क्योंकि आप उनके द्वारा
दृश्य नहीं हैं

उनके साक्षी हैं
इसलिए आपके गुण
जन्म और कर्म आदि के द्वार
आपके नाम और रूप का

निरुपण नहीं किया जा सकता
फिर भी हे प्रभु
आपके भक्तजन
उपासना आदि क्रिया

योग के द्वार
आपका साक्षातकार तो करते ही हैं
जो कोई आपके
मंगलमय नमो और रूपो का

श्रवण कीर्तन स्मरण
और ध्यान करता है
और आपके चरण कमलो की
सेवा में ही अपना चित्त लगाये रखा है

उसे फिर
जन्म मृत्यु रूप संसार की चक्र में
नहीं पड़ना पड़ता है
सम्पूर्ण दुखो को

हरने वाले भगवान
आप सर्वेश्वर हैं
याह पृथ्वी तो
आपका चरण कमल ही है

आपके अवतार से
इसका भर काम हो गया है
धन्य हैं प्रभु
हमारे लिए

यह सौभाग्य की बात है
के हम लोग आपके
सुंदर सुंदर चिन्हो से युक्ता
चरणकमलों द्वार विभूषित

पृथ्वी को देखते
और स्वर्ग लोक को भी
आपकी कृपा से कृतार्थ देखेंगे
प्रभु आप अजन्मा हैं

यादी आपके जन्म के करण के संबंध में
हम कोई तर्क ना करें
तो यही कह सकते हैं कि
याह आपका विलीला विनोद है

ऐसा कहने का कारण यहीं है की
आप द्वैत के लेश से रहित
सर्वधिष्ठान स्वरूप हैं
और इस जगत की उत्पत्ति

स्थिति तथा प्रलय अज्ञान के द्वार ही
आप में आलोकित हैं
हे प्रभु जैसे अनेको बार
मत्स्य हेग्री तक्षक ऋषि वराह

हंसराम परशुराम और वामन अवतार
धरन करके हम लोगो की
और टीनो लोको की रक्षा की हैं
वैसे ही आप

इस बार भी
पृथ्वी का भर धरण कीजिए
प्रभु
हे यदुनंदन!

हम आपके चरणों में
वंदना करते हैं
हम देवकी को भी
वंदन कराटे हुए

उससे भी सम्बोधित करते हैं
की हे माता जी
बड़े ही सौभाग्य की बात हैं
कि आपके कोख में

हम सब का कल्याण करने वाले
स्वयं भगवान पुरुषोत्तम
अपने ज्ञान बल आदि अंशो के साथ पधारे हैं
अब आप कंस से

तनिक भी मत डारिये
अब तो वह कुछ दिनों का मेहमान हैं
आपके पुत्र यदुनंदन की रक्षा करेंगे
हे प्रभु!

श्री कृष्ण
हमें भी आपके जैसे दिव्य संतान प्रदान करें
अंत में इतनी प्रार्थना
हम अवश्य करते हैं

हे यशोदानन्दन!
आरती वंदन
बस सब पर कृपा तुम्हारी है
हम सबको आपका प्यार मिले

बस विनती यही हमारी हैं
हे नारायण!
हे मधुसूदन!
हे अर्जुन सखा
महा वंदन

हम सब पे दया उपकार करो
हम पर विश्वास करो
बस विनती यही हमारी हैं
तुम जगत के नाथ

तुम त्रिलोकी
तुम विश्वराचेता
मनमोही हो
श्री ब्रम्हा तुम्हारी स्तुति करे

बस सब पर कृपा तुम्हारी है
हे उपदेशक
हे वीर अभिमानी!
हे वासुदेव!

तुम कल्याणी
तुम जगत के लोक कल्याण करो
बस सब पर कृपा तुम्हारी है
वह लक्ष्मीपति

हे अविनाशी
अरे मदन मोहन!
बृजवासी
हम सबको आप की ही राह मिले

बस विनती यही हमारी हैं
हे यशोदा नंदन!
आप हम पर कृपा करें
हमें दिव्य संतान प्राप्ति की

भेट प्रदान करे
धन्यावाद

Credits:

  • Title: Shri Krishna Garbh Stuti
  • Singer: Aroshi Vajpayee
  • Music Director: Subhash Jena
  • Edit & Gfx: MindPro
  • Music Label: Music Nova

Full Audio Song Available On

Facebook Comments Box
- Advertisment -
RELATED SONGS
- Advertisment -

Most Popular

- Advertisment -

TOP CATEGORIES