Monday, July 27, 2026
Monday, July 27, 2026
HomeShri KrishnaShri Krishna Bhajans HindiShri Krishna Garbha Prarthana Lyrics

Shri Krishna Garbha Prarthana Lyrics

- Advertisment -

श्री कृष्ण गर्भ प्रार्थना भगवान श्रीकृष्ण को समर्पित ऐसी प्रार्थनाएँ या भजन हैं, जिन्हें गर्भावस्था के दौरान माता और गर्भस्थ शिशु के आध्यात्मिक कल्याण, शांति और सकारात्मक संस्कारों के लिए सुना या पढ़ा जाता है।

इसका महत्व:

भारतीय परंपरा में गर्भ संस्कार का विशेष महत्व माना गया है। मान्यता है कि गर्भावस्था के दौरान—

  1. अच्छे विचार,
  2. भक्ति,
  3. मंत्र,
  4. शास्त्रों का श्रवण,

श्रीकृष्ण से जुड़ी प्रार्थनाओं का भाव:

  1. शिशु स्वस्थ और संस्कारी बने
  2. परिवार में सुख और शांति बनी रहे
  3. माता को मानसिक शक्ति और धैर्य मिले
  4. शिशु में प्रेम, करुणा और सद्गुण विकसित हों

कहाँ सुनाई जाती है?

  1. गर्भ संस्कार कार्यक्रमों में
  2. ध्यान और प्रार्थना के समय
  3. कृष्ण भजन और स्तोत्रों के रूप में

Shri Krishna Garbha Prarthana Lyrics:

  • English
  • Hindi

Shri Krishna Ke Janma Se Purva
Devatao Ne Garbhastha Parmeshwar Ki
Stuti Ki Thi
Bramhavaivarta Puran Tatha Shrimad Bhagvat Puran Mein

Yah Stuti Alag Alag Varnit Hai
Apke Liye Wo Dono Durlabh Shlok
Yahan Par Prastut Hai

Ek Din Devatao Ne
Kans Ke Karagar Mein Aakar
Stuti Ki Thi
Jo Garbh Stuti Naam Se Vikhyat Hai

Garbha Stuti Devatao Dwara Ki Gayi
Stuti Evam Prarthana Hai
Bhagwan Shri Krishna Ne
Maa Devaki Ke Garbh Me Pravesh Kiya

Tabhi Sabhi Devata Gan
Wahan Aakar Stuti Karane Lage
Aur Achchhe Aashirwad Dene Lage
Jab Koi Garbhavati Mata

Ye Stuti Karati Hai
Toh Garbhasth Shishu
Aanandit Ho Uthata Hai
Aur Uska Garbh Mein

Vikas Bhi Achchha Hone Lagata Hai
Hakikat Mein Garbh Stuti
Woh Stuti Hai
Jisme Hamein

Yane Ki Garbhavti Mata Ko
Kaise Gun Wala Shishu Chahiye
Uska Varnan
Stuti Evam Prarthana Se Karna Chahiye

Uske Liye Shri Krishna Ki
Yah Garbhstuti Karni
Bahot Hi Labhdayak Hogi
Agar Garbhavati Mata Ye Stuti

Roz Sunati Hai Aur Karti Hai
Toh Avashya Hi Use
Mannchahi Santan Prapta Hoti Hai
Uske Jeevan Mein

Shri Krishna Ke Guno Wala
Santan Aata Hai
Shreshtha Parmeshwar Jaise Santan Hetu
Devatao Ne Shri Krishna Ke Liye

Garbhstuti Ki Thi
Lekin Iss Prithavi Par
Iss Kaliyug Mein
Ek Maa Hi Shreshtha Santan Hetu

Garbhstuti Avashya Hi Kar Sakati Hai
Bhagwan Shankar Aur Bramha Ji
Kans Ke Karagar Mein Aaye
Unke Saath Narad Aadi Rishi Bhi The

Ve Log Sumadhur Vachano Se
Sabhiki Abhilasha Purna Karnewale
Shri Hari Ki
Iss Prakar Stuti Karne Lage

Prabhu Aap Satya Sankalp Hai
Satya Hi Aapke Prapti Ka
Shreshtha Sadhan Hai
Srishti Ke Purva Pralay Ke Pashchat

Aur Sansar Ki Sthiti Ke Samay
In Asatya Avasthao Mein Bhi
Aap Hi Satya Hai
Prithavi Jal Tej Vaayu Aur Aakash

In Paanch Drishyaman Satyo Ke
Aap Hi Karan Hai
Aur Unme Antaryami Roop Se
Virajman Bhi Aap Hi Hai

Aap Is Drishyaman Jagat Ke
Parmartha Swaroop Hai
Aap Hi Madhur Vaani Samdarshan
Aur Pravartak Hai

Bhagwan Aap Bas
Satya Swaroop Hi Hai
Hum Sab Aapke Sharan Mein Aaye Hain
Is Sansar Swaroop Vriksha Ke

Utpati Ke Aadhar
Ek Matra Aap Hi Hain
Aap Mein Hi
Iska Pralay Hota Hai

Aur Aapke Hi Anugrah Se
Iski Raksha Bhi Hoti Hai
Jinaka Chitta Aapke Hi Maya Se
Aavrutta Ho Raha Hai

Is Satya Ki Samjhne Ki Shakti
Kho Baitha Hai
Ve Hi Utpatti Sthiti Aur Pralay Karnewale
Bramhadi Devatao Ko Anek Dekhte Hain

Tatva Gyani Purush Toh
Sabke Roop MeinToh Sirf Keval
Aap Ka Hi Darshan Karte Hai
Aap Gyan Swaroop Aatma Hain

Charachar Jagat Ke Kalyan Ke Liye Hi
Aneko Roop Dharan Karte Hain
Aapke Ve Roop
Vishat Aprakrut Samnvay Hote Hain

Aur Sant Purusho Ko
Bahot Hi Aanand Dete Hain
Saath Hi Dushto Ko
Anek Dushtata Ke Liye Bhi

Danda Dete Hain
Unke Liye Amangalmay Bhi
Aap Hi Hote Hain
Kamal Ke Samaan Komal

Anugrah Bhare Netron Wale Prabhu
Kuchh Birle Log Hi
Aapke Samasta Padartho Aur
Praniyon Ko Aashray Swaroop Roop Mein

Purna Chitt Ekagrata Se
Purn Chitt Laga Pate Hain
Aur Aapke Charan Kamal Roopi Jahaj Ka
Ashraya Lekar Iss Sansar Sagar Ko

Bachhade Ki Khor Ke Gatthe Ke Samaan
Anayas Hi Paar Kar Jate Hain
Kyon Na Ho
Ab Tak Ke Santo Ne

Isi Jahaj Se Sansar Sagar Ko
Paar Jo Kiya Hai
Paramprakash Swaroop Parmatma
Aapke Bhaktajan

Saare Jagat Ke Nishkapat Premi
Sachche Hiteshi Hote Hain
Ve Svayam Ko Iss Bhayankar
Aur Kasht Se Paar Karane Yogya

Sansar Sagar Ko
Paar Kar Hi Jate Hain
Kintu Auro Ke Kalyan Ke Liye Bhi
Ve Vaha

Aapke Charan Kamlo Ki Nauka
Sthapit Kar Jate Hain
Vastav Mein Sabhi Purusho Par
Aapki Mahan Kripa Hoti Hain

Uske Liye Aap
Anugraha Swaroop Hi Hain
Kamal Nayan Hey Shri Krishna
Jo Log Aapke Charan Kamalo Ki

Sharan Nahin Lete Hain
Tatha Aapke Prati
Bhakti Bhaav Se Rahit Hone Ke Kaaran
Jinaki Buddhi Bhi

Shuddha Nahi Hain
Ve Apne Ko Jhuth Muth
Mukta Manate Hain
Vastav Mein Toh Ve Mrit Hi Hain

Ve Yadi Badi Tapasya Aur Sadhana Ka
Kashta Uthakar Bhi
Kisi Prakar Unche Se Unche Pad Par
Pahunch Bhi Jaye

Toh Bhi Wahan Se Niche Gir Jate Hain
Parantu Bhagwant
Jo Aapke Apne Niji Jan Hain
Jinhone Aapke Charano Mein

Apni Sachchi Preeti Chhod Rakhi Hain
Ve Kabhi Unn Naabhimaniyon Ke Bhati
Apne Sadhak Marg Se Girte Nahi Hain
Prabhu Ve Bade Bade Vighna Dalane Wale

Sena Ke Sardaro Ke
Sir Par Pair Rakhakar
Nidar Hokar Chalte Hain
Koi Bhi Vighna Unke Marg Mein

Rukavat Nahi Daal Sakati
Kyonki Unke Rakshak Toh Aap Hi Hain
Aap Sansar Ke Sthiti Ke Liye
Samasta Dehdhariyon Ko

Paramkalyan Pradan Karnewala
Vishudhha Satvamay Sachichidanandmay
Paramdivya Mangalmay Vigrah Prakat Karte Hain
Us Roop Ke Prakat Hone Se Hi

Aapke Bhakt
Ved Karmakand Ashtang Yog
Tapasya Aur Samadhi Ke Dwara
Aapki Aaradhana Karate Hain

Prabhu Aap Sabke Vidhata Hain
Yadi Aapka Yah Vishuddha Satvamay
Nij Swaroop Na Ho Toh
Agyan Aur Uske Dwara Honewale

Bhedbhav Ko Nasht Karnewala
Aproksh Gyan Bhi Kisiko Na Ho
Jagat Mein Dikhne Wale Tino Roop
Aapke Hi Hain

Aur Aapke Dwara Hi
Prakashit Hote Hain
Yah Satya Hai
Par In Guno Ki Prkashit Vittiya Se

Aapke Swaroop Ka Keval Anuman Hi Hota Hain
Vastavik Swaroop Ka Sakshatkar Nahi Hota
Bhagwan Mann Aur Ved Vaani Ke Dwara
Keval Aapke Swaroop Ka Anuman Matra Hota Hain

Kyonki Aap Unke Dwara Drashya Nahin
Unke Sakshi Hain
Isiliye Aapke Gun
Janma Aur Karma Aadi Ke Dwara

Aapke Naam Aur Roop Ka
Nirupan Nahin Kiya Ja Sakata
Phir Bhi Hey Prabhu
Aapke Bhaktajan Upasana Aadi Kriya Yoga Ke Dwara

Aapka Sakshatkar Toh Karte Hi Hain
Jo Purush Aapke Mangalmay Namo
Aur Roopo Ka
Shravan Kirtan Smaran Aur Dhyan Karte Hain

Aur Aapke Charan Kamalo Ki Seva Mein
Apna Chitt Lagaye Rakhte Hain
Use Phir Janma Mrityu Roop
Sansar Ke Chakro Mein

Nahin Padana Padata
Sampurna Dukho Ko
Harne Wale Bhagwan
Aap Sarveshwar Hai

Yah Prithvi Toh Aapka Charan Kamal Hi Hain
Aapke Avtar Se
Iska Bhar Dur Ho Gaya
Dhanya Hain Prabhu

Humare Liye Yah Badi Saubhagya Ki Baat Hain
Ke Hum Log
Aapke Sundar Sundar Chinho Se Yukt
Charankamlon Ke Dwara Vibhushit Prithvi Ko Dekhte

Aur Swarg Lok Ko Bhi Aapki Kripa Se Kritarth Dekhenge
Prabhu Aap Ajanma Hain
Yadi Aapke Janma Ke Kaaran Ke Sambandh Mein
Hum Koi Tarka Na Kare Toh

Yahi Kah Sakte Hain Ki
Yah Aapka Vileela Vinod Hi Hain
Aisa Kahane Ka Karan
Yahi Hain Ki

Aap Dwait Ke Lesh Se Rahit
Sarvadhishth Sthan Swaroop Hain
Aur Is Jagat Ki
Utpatti Siddhi Tatha Pralay Agyan Ke Dwara Hi

Aap Mein Alokit Hain
Hey Prabhu Aapne Jaise Aneko Baar
Matsya Haygriv Takshak Rishi
Varah Hans Raam Parshuram Aur Waman Avatar

Dharan Karake Hum Logo Ki Aur
Tino Loko Ki Raksha Ki Hain
Vaise Hi Aap Is Baar Bhi
Prithvi Ka Bhar

Haran Kijiye Prabhu
Hey Yadunandan
Hum Aapke Charan Mein
Vandana Karte Hain

Hum Devaki Ko Bhi Vandan Karate Huye
Use Bhi Sambodhan Karte Hain Ki
Hey Mataji Yah Bade Hi Saubhagya Ki Baat Hain
Ki Aapke Kokh Mein

Hum Sab Ka Kalyan Karne Wale
Swayam Bhagwan Purushottam
Apane Gyan Bal Aadi Ansho Ke Saath Padhare Hain
Ab Aap Kans Se Tanik Bhi Mat Dariye

Ab Toh Wah Kuchh Hi Dino Ka Mehman Hain
Aapke Putra Yadunanadn Hi Raksha Karenge
He Prabhu Shri Krishna
Hume Aapke Jaise Divya Santan Prapta Ho

Ant Mein Hum Itani Prarthana
Hum Avashya Karate Hain
Hey Yashodanandan Aarati Vandan
Bas Aapki Kripa Hum Par Bani Rahe

Hum Sabko Aapka Pyar Mile
Bas Vinati Yahi Humari Hain
Hey Narayan
Hey Madhusudan

Hey Arjun Sakha
Mahavandan
Hum Sab Pe Daya Aur Upkar Karo
Hum Par Vishwas Karo

Bas Vinati Yahi Humari Hain
Tum Jagat Ke Naath
Tum Triloki
Tum Vishvarachiyeta

Mannmohi Ho
Shri Bramha Tumhari Stuti Kare
Bas Sab Par Kripa Tumhari Hain
Hey Uddeshyak

Hey Veer Abhimani
Hey Vasudev
Tum Kalyani
Tum Jagat Ke Lok Kalyan Karo

Bas Sab Par Kripa Tumhari Hain
Hey Lakshmipati
Hey Avinashi
Hey Madan Mohan Brijvasi

Hum Sab Ko Aap Ki Hi Raah Mile
Bas Vinati Yahi Humari Hain
Hey Yashoda Nandan
Aap Hum Par Kripa Kare

Hume Divya Santan Prapti Ki Bhet Kare
Dhanyawad
Jai Shri Krishna

श्री कृष्ण के जन्म से पूर्व
देवताओ ने गर्भस्थ परमेश्वर की
स्तुति की थी
ब्रम्हवैवर्त पुराण तथा श्रीमद्भागवत पुराण में

याह स्तुति अलग अलग वर्नित है
आपके लिए वो डोनो दुर्लभ श्लोक
यहां पर प्रस्तुत है

एक दिन देवताओ ने
कंस के कलाकार में आकार
स्तुति की थी
जो गर्भ स्तुति नाम से विख्यात है

गर्भ स्तुति देवताओ द्वार की गई
स्तुति एवं प्रार्थना है
भगवान श्री कृष्ण ने
माँ देवकी के गर्भ में प्रवेश किया

तबहि सबहि देवता गण
वहां आकर स्तुति करने लगे
और अच्छे आशीर्वाद देने लगे
जब कोई गर्भवती माता

ये स्तुति कराती है
तो गर्भस्थ शिशु
आनंदित हो उठता है
और उसका गर्भ में

विकास भी अच्छा होने लगता है
हकीकत में गर्भ स्तुति
वो स्तुति है
जिस्मे हमीं

येने की गर्भवति माता को
कैसे गन वाला शिशु चाहिए
उस्का वर्नान
स्तुति एवं प्रार्थना से करना चाहिए

उसके लिए श्री कृष्ण की
यः गर्भस्तुति करनी
बहुत ही लाभदायक होगी
अग्र गर्भवती माता ये स्तुति

रोज़ सुनाती है और करती है
तो अवश्य हाय यूज़
मनचाहि संतान प्राप्त होती है
उसके जीवन में

श्री कृष्ण के गुणो वाला
संतान आता है
श्रेष्ठ परमेश्वर जैसा संतान हेतु
देवताओ ने श्री कृष्ण के लिए

गर्भस्तुति की थी
लेकिन इस पृथ्वी पर
इस कलियुग में
एक मां ही श्रेष्ठ संतान हेतु

गर्भस्तुति अवश्य ही कर सकती है
भगवान शंकर और ब्रम्हा जी
कंस के करगार में आये
उनके साथ नारद आदि ऋषि भी थे

वे लोग सुमधुर वचनो से
सबकी अभिलाषा पूर्ण करनेवाले
श्री हरि की
इस प्रकार स्तुति करने लगे

प्रभु आप सत्य संकल्प है
सत्य ही आपकी प्राप्ति का
श्रेष्ठ साधन है
सृष्टि के पूर्व प्रलय के पश्चात

और संसार की स्थिति के समय
असत्य अवस्था में भी
आप ही सत्य है
पृथ्वी जल तेज वायु और आकाश

पांच दृश्यमान सत्यो के
आप ही करन हैं
और उनमें अन्तर्यामी रूप से
विराजमान भी आप ही हैं

आप इस दृश्यमान जगत के
परमार्थ स्वरूप है
आप ही मधुर वाणी समदर्शन
और प्रवर्तक है

भगवान आप बस
सत्य स्वरूप ही है
हम सब आपके शरण में आये हैं
क्या संसार स्वरूप वृक्ष के

उत्पति के आधार
एक मात्रा आप ही हैं
आप में हाय
इसका प्रलय होता है

और आपके ही अनुग्रह से
इसकी रक्षा भी होती है
जिनका चित्त आपके ही माया से
आवृत्त हो रहा है

सत्य की समझ की शक्ति है
खो बैठा है
वे ही उत्पत्ति स्थिति और प्रलय करनेवाले
ब्रम्हादि देवताओ को अनेक देखते हैं

तत्व ज्ञानी पुरुष तो
सबके रूप में तो सिर्फ केवल
आप का ही दर्शन करते हैं
आप ज्ञान स्वरूप आत्मा हैं

चराचर जगत के कल्याण के लिये हाय
अनेको रूप धारण करते हैं
आपके वे रूप
विशत् अप्राकृत समन्वय होते हैं

और संत पुरुषो को
बहुत ही आनंद देते हैं
साथ ही दुश्मनो को
अनेक दुश्मन के लिए भी

डंडा देते हैं
उनके लिए अमंगलमय भी
आप ही होते हैं
कमल के समान कोमल

अनुग्रह भरे नेत्रों वाले प्रभु
कुछ बिरले लोग हाय
आपके समस्त पदार्थो और
प्राणियों को आश्रय स्वरूप रूप में

पूर्ण चित्त एकाग्रता से
पूर्ण चित्त लगा पटे हैं
और आपके चरण कमल रूपी जहाज का
आश्रय लेकर इस संसार सागर को

बछड़े की खोर के गत्थे के सामान
अनायास ही पार कर जाते हैं
क्यों ना हो
अब तक के संतो ने

इसी जहाज से संसार सागर को
पार जो किया है
परमप्रकाश स्वरूप परमात्मा
आपके भक्तजन

सारे जगत के निष्कपट प्रेमी
सच्चे हितैषी होते हैं
वे स्वयं को इस भयंकर
और कष्ट से पार करें योग्य

संसार सागर को
पार कर ही जाते हैं
किंतु औरो के कल्याण के लिए भी
वे वाह

आपके चरण कमलो की नौका
स्थपित कर जाते हैं
वास्तव में सभी पुरुषो पर
आपकी महान कृपा होती है

उसके लिए आप
अनुग्रह स्वरूप ही हैं
कमल नयन हे श्री कृष्ण
जो लोग आपके चरण कमलो की

शरण नहीं लेते हैं
तथा आपके प्रति
भक्ति भाव से रहित होने के कारण
जिनकी बुद्धि भी

शुद्ध नहीं हैं
वे अपने को झूठ मुठ
मुक्ता मनते हैं
वास्तव में तो वे मृत ही हैं

वे यदि बड़ी तपस्या और साधना का
कष्ट उठाकर भी
किसी प्रकार ऊंचे से ऊंचे पद पर
पाहुंच भी जाए

तो भी वहां से नीचे गिर जाते हैं
परन्तु भगवन्त
जो आपके अपने निजी जान हैं
जिन्होनें आपके चरणों में

अपनी सच्ची प्रीति छोड़ रखी हैं
वे कभी उन नाभिमानियों के भाती
अपने साधक मार्ग से गिरते नहीं हैं
प्रभु वे बड़े बड़े विघ्न दलाने वाले

सेना के सरदारो के
सर पर जोड़ी राखाकर
निडर होकर चलते हैं
कोई भी विघ्न उनके मार्ग में

रुकावत नहीं डाल सकती
क्योंकि उनके रक्षक तो आप ही हैं
आप संसार की स्थिति के लिए
समस्त देहधारियों को

परमकल्याण प्रदान करनेवाला
विशुद्ध सत्वमय सच्चिदानंदमय
परमदिव्य मंगलमय विग्रह प्रकट करते हैं
उस रूप के प्रकट होने से ही

आपके भक्त
वेद कर्मकाण्ड अष्टांग योग
तपस्या और समाधि के द्वार
आपकी आराधना कराते हैं

प्रभु आप सबके विधाता हैं
यदि आपका यः विशुद्ध सत्वमय
निज स्वरूप न हो तो
अज्ञान और उसके द्वार होनेवाले

भेदभाव को नष्ट करनेवाला
अप्रोच ज्ञान भी किसिको ना हो
जगत में दिखने वाले टीनो रूप
आपके ही हैं

और आपके द्वार हाय
प्रकाशित होते हैं
हाँ सत्य है
पर इन गुनो की प्रकाशित वित्तिय से

आपके स्वरूप का केवल अनुमान ही होता है
वास्तु स्वरूप का साक्षातकार नहीं होता
भगवान मन और वेद वाणी के द्वारे
केवल आपके स्वरूप का अनुमान मात्रा होता है

क्योंकि आप उनके द्वार दृश्य नहीं
उनके साक्षी हैं
इसीलिये आपके गन
जन्म और कर्म आदि के द्वारे

आपके नाम और रूप का
निरूपण नहिं किया जा सकाता
फिर भी हे प्रभु
आपके भक्तजन उपासना आदि क्रिया योग के द्वारे

आपका साक्षातकार तो करते ही हैं
जो पुरुष आपके मंगलमय नमो
और रूपो का
श्रवण कीर्तन स्मरण और ध्यान करते हैं

और आपके चरण कमलो की सेवा में
अपना चित्त लगाये रखते हैं
पुनः जन्म मृत्यु रूप का प्रयोग करें
संसार के चक्रों में

नहिं पदना पदता
संपूर्ण दुखो को
हार्ने वाले भगवान
आप सर्वेश्वर हैं

याह पृथ्वी तो आपका चरण कमल ही है
आपके अवतार से
इसका भार दूर हो गया
धन्य हैं प्रभु

हमारे लिए यह बड़ी सौभाग्य की बात है
के हम लोग
आपके सुंदर सुंदर चिन्हों से युक्त
चरणकमलों के द्वार विभूषित पृथ्वी को देखते

और स्वर्ग लोक को भी आपकी कृपा से कृतार्थ देखेंगे
प्रभु आप अजन्मा हैं
यादी आपके जन्म के करण के संबंध में
हम कोई तर्क ना करे तो

यहीं कह सकते हैं की
हाँ आपका विलीला विनोद ही है
ऐसा कहने का करण
यहीं हैं की

आप द्वैत के लेस से रहित
सर्वाधिष्ठ स्थान स्वरूप हैं
और इस जगत की
उत्पत्ति सिद्धि तथा प्रलय अज्ञान के द्वारे ही

आप में आलोकित हैं
हे प्रभु आपने जैसे अनेको बार
मत्स्य हयग्रीव तक्षक ऋषि
वराह हंस राम परशुराम और वामन अवतार

धरन कराके हम लोगो की और
टीनो लोको की रक्षा की है
वैसे ही आप इस बार भी
पृथ्वी का भार

हरण कीजिए प्रभु
हे यदुनन्दन!
हम आपके चरणों में
वंदना करते हैं

हम देवकी को भी वंदन करते हुए
भी संबोधन करते हैं का उपयोग करें
हे माताजी यह बड़े ही सौभाग्य की बात है
की आपके ख्याल में

हम सबका कल्याण करने वाले
स्वयं भगवान् पुरूषोत्तम
अपने ज्ञान बल आदि अंशो के साथ पधारे हैं
अब आप कंस से तनिक भी मत डरिये

अब तो वाह कुछ ही दिनों का मेहमान है
आपके पुत्र यदुनानदं ही रक्षा करेंगे
वे प्रभु श्रीकृष्ण हैं
हमें आपके जैसे दिव्य संतान प्राप्त हो

चींटी में हम इतनी प्रार्थना
हम अनिवार्य कराटे हैं
हे यशोदानंदन आरती वंदन
बस आपकी कृपा हम पर बनी रहे

हम सबको आपका प्यार मिले
बस विनति यहीं हमारी हैं
हे नारायण!
हे मधुसूदन!

हे अर्जुन सखा!
महावंदन
हम सब पे दया और उपकार करो
हम पर विश्वास करो

बस विनति यहीं हमारी हैं
तुम जगत के नाथ
तुम त्रिलोकी
तुम विश्वरचियेत

मनमोही हो
श्री ब्रम्हा तुम्हारी स्तुति करे
बस सब पर कृपा तुम्हारी है
हे उद्देश्यक!

हे वीर अभिमानी!
हे वासुदेव!
तुम कल्याणी
तुम जगत के लोक कल्याण करो

बस सब पर कृपा तुम्हारी है
हे लक्ष्मीपति!
हे अविनाशी!
हे मदन मोहन बृजवासी

हम सबको आप की ही राह मिले
बस विनति यहीं हमारी हैं
हे यशोदा नंदन!
आप हम पर कृपा करें

हमें दिव्य संतान प्राप्ति की भेट करे
धन्यावद
जय श्री कृष्णा

Credits:

  • Title: Shri Krishna Garbha Prarthana
  • Singer: Gayatri Mishra
  • Music Director: Subhash Jena
  • Edit & Gfx: Prem Graphics PG
  • Music Label: Music Nova

For more Shri Krishna Bhajans with lyrics, click here

Facebook Comments Box
- Advertisment -
RELATED SONGS
- Advertisment -

Most Popular

- Advertisment -

TOP CATEGORIES